Qalb-e-Aashiq Hain Ab Para Para, Alwada Alwada Mahe Ramazan. Qalb-e-Aashiq Hain Ab Para Para, Alwada Alwada Mahe Ramazan. Tere Aaney Se Dil Khush Huwa Tha, Aur Zoak-e-Ibadat Badha Tha, Aahh Ab Dil Pe Hain Ghum Ka Galba, Alwada Alwada Mahe-e-Ramazan. Naikiyan Kuch Na Hum Kar Sakain Hain, Aah Issiya He Main Din Katain Hain, Haaye Gaflat Main Tujh Ko Guzara, Alwada Alwada Mah-e-Ramzan. Koi Husn-e-Amal Na Kar Sakaa Hoo, Chand Ansoo Nazar Kar Raha Hoo, Yehi Hai Mera Kul Asasaaa, Alwada Alwada Mah-e-Ramzan. Jub Guzar Jayenge Mah Giyara, Teri Aamad Ka Aamad ka Phir Shoor Hoga, Kiya Meri Zindagi Ka Bharosa, Alwada Alwada Mah-e-Ramzan. Bazm Iftar Sajti Thi Thi Kaisi, Khood Sehri Ki Ronak Bhi Hotee, Sub Sama Hogaya Suna Suna, Alwada Alwada Mah-e-Ramzan. Yaad Ramzan Ki Tarpa Rahee Hai, Aansoo Ki Jarhee Lag Gayee Hain, Keh Raha Hai Har Aik Qatra, Alwada Alwada Mah-e-Ramzan. Tere Diwane Sub Ke Sub Ro Rahe Hain, Muztarib Sub Ke Sub Ho Rahe Hain, Kaun Dega Inhe Ab Dilasa, Alwada Alwada Ma...
Comments
Post a Comment