Durood-o-Salaam Kee Fazeelat


Durood-o-Salaam Kee Fazeelat







Soorat-ul-Ahzaab Kee Aayate Mubaaraka ( Al-Aḥzāb, 33 : 56.) Kee Tafseer Me Qaazi Iyaaz Rahmatullahi Ta’ala ‘Alayh Ne Ash-Shīf ā’, (Jild : 01, Saf’hah : 60.) Me Likkha Hai Ki Allah Ta’ala Aur Us Ke Tamaam Firishte Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Par Durood Bhejte Hain. Is Ke Ba’d Momino’n Ko Hukm Hota Hai Ki Aye Imaan Waalo! Tum Bhi Huzoor ‘Alayh-is-Salatu Wa’s-Salam Par Durood-o-Salaam Bhejo. Woh Bayaan Karte Hain Ki Yeh Aayate Mubaaraka Jo Ba-Taure Khaas Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Azamat-o-Shaan, Uloo Martabat Aur Maqaame Rafee’ Ke Izhaar Ke Li’e Naazil Kee Ga’i Hai. Is Me Allah Sub’haanahu Wa-Ta’ala Ne Pehle Khabar Dee Hai Ki :



إِنَّ اللَّهَ وَمَلَائِكَتَهُ يُصَلُّونَ عَلَى النَّبِيِّ



“Be Shak Allah Aur Us Ke (Sab) Firshte Nabiyye(Mukarram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam) Par Durood Bhejte Rehte Hain.”

 

Is Khabar me Allah Rabb-ul-Izzat Ne Pehle Apna Aur Malaa’ika Ka Amal Bayaan Farmaaya, Phir Hamein Hukm Diya Hai Ki :



يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا صَلُّوا عَلَيْهِ وَسَلِّمُوا تَسْلِيمًا۝



          “Aye Imaan Waalo! Tum (Bhi) Un Par Durood Bheja Karo Aur Khoob Salaam Bheja Karo.”

 

Allah Tabaarak Wa-Ta’ala Ne Qur’an Majeed Me Al-Hamd Se Wa-An-Naas Tak Is Maqqam Ko Siwa Kisi Jagah Par Bhi Aisa Hukm Nahin Diya Ki Hukm Dene Se Pehle Khabar De Ki Mein Khud Yeh Kaam Karta Hoo’n. Is Se Yeh Haqiqat Waazeh Taur Par Saamne Aati Hai Ki :



1. Huzoore Aqdas SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Yeh Azamat-o-Khusoosiyyat Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Naseeb Hai, Jis Kee Ko’i Aur Mithaal Na Poore Qur’aan Paak Me Hai, Aur Na Hee Tamaam Anbiya’ Me Se Kisi Nabi Aur Rasool Ke Baare Me Is Tarah Kee Ko’i Aayat Naazil Hu’i.

 

2. Sayyidina Aadam ‘Alayh-is-Salam Kee Azamat Ke Izhaar Ke Li’e Jo Amal Muntakhab Kiya Us Me Allah Tabaarak Wa-Ta’ala Khush Shareek Na Huwa Balki Yeh Amal Firishto’n Se Karwaaya Magar Jab Apne Pyaare Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Azamat-o-Shaan Bayaan Kar Ne Wa Waqt Aaya To Dunya Waalo’n Ko Waazeh Taur Par Matla’ Kar Diya Ki Suno! Mere Mahboob Kee Shaan Mala’-E-A’la Me Kya Hai, Wahaa’n Par Aik Hee Zikr Hota Hai Jo Allah Bhi Karta Hai Aur Us Ke Firishte Bhi.

 

Yeh Baat Badi Ahammiyyat Kee Haamil Hai Ki Allah Ta’ala Khud Apna Zikr Nahin Karta Aur Na Hee Apni Tasbeeh Bayaan Karta Hai Balki Woh Sirf Aik Hee Zikr Karta Hai Jis Ke Muta’alliq Qur’an Hakeem Me Waazeh Taur Par Farmaaya Gaya Hai Ki Allah Ta’ala Har Lehza Apne Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Zikr Buland Karta Hai. Aik Maqaam Par Farmaaya :


وَرَفَعْنَا لَكَ ذِكْرَكَ۝



          “Aur Ham Ne Aap Kee Khaatir Aap Ka Zikr (Apne Zikr Ke Saath Mila Kar Dunya-o-Aakhirat Har Jagah) Buland Farma Diya.”
[Al-Inshirāḥ, 94 : 04.]


 

Aur Doosre Maqaam Par Farmaaya :

إِنَّ اللَّهَ وَمَلَائِكَتَهُ يُصَلُّونَ عَلَى النَّبِيِّ

          “Be Shak Allah Aur Us Ke (Sab) Firshte Nabiyye(Mukarram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam) Par Durood Bhejte Rehte Hain.”
[Al-Aḥzāb, 33 : 56.]

 

Imam Bukhari Rahmatullahi Ta’ala ‘Alayh Ne Hazrat Aboo Al-‘Aaliyyah Taabe’iy Rahmatullahi Ta’ala ‘Alayh Se Riwaayat Kiya Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Par Allah Ta’ala Kee Taraf Se Durood Bhejne Ka Matlab Yeh Hai :

صلوة الله ثناؤه عليه عند الملائكة.



          “Allah Ta’ala Malaa’ika Ke Ijtemaa’ Me (Apni Shaan Ke Laa’iq) Apne Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Shaan Bayaan Karta Hai.”
[Bukhāri Fī Al-Ṣaḥiḥ, Kitāb Al-Tafsīr, Tafsīr Sūrah Al-Ahzāb, 04.282.]




Kyoo’n Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Shaan Wohi Jaane Jis Ne Aap Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Shaan Se Nawaaza Hai. Yehi Waj’h Hai Ki Allah Ta’ala Ko Apni Shaan Ke Mutaabiq Ilm Tha Ki Mein Ne Apne Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Ta’reef Karte Rehna Hai, Lehaaza Pehle Hee Naam “Muḥammad(SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam)” Rakh Diya Ya’ni Woh Zaat Jis Kee Baar Baar Aur Be Hadd-o-Hisaab Ta’reef Kee Jaa’e.




Madhkoora Hadih Me ثناؤه عليه عند الملائكة (Malaa’ika Ke Saamne Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Shaan Bayaan Karna) Se Ma’loom Huwa Ki Malaa’ika Ke Be Hadd-o-Hisaab Ijtemaa’ Ne Allah Ta’ala Un Ke Saamne Apni Shaan Ke Laa’iq Apne Mahboob Kee Azamat-o-Shaan Bayaan Karta Hai Goya Saara ‘Arsh, Mala’-E-A’la Aur Poori Kaa’enaat Gosha-E-Durood Hai Jis Me Allah Ta’ala Firishto’n Ko Bula Kar Irshaad Farmaata Hai Ki Aao! Mere Saath Shareek Ho Jaao.


[Durood-o-Salam Aur Azamate Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/13_16.]


Comments

Popular posts from this blog

سبق ‏آموز ‏واقعات، ‏دلچسپ ‏اور ‏معنی ‏خیز ‏سو ‏100سے ‏زیادہ ‏سبق ‏آموز ‏کہانیان

islamic quotes ❤️

Alvida Mahee Ramzan naat lyrics..Qalb-e-Aashiq Hain Ab Para Para,Alwada Alwada Mahe Ramazan